Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~``Naz Ka Intikhab``~~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mohabbat ka Akhri December...!


    Mohabbat ka Akhri December...!

    Chalo khatam hoi aaj say dastaan-E-muhabbat
    Ab hum tareekh-e-wafa main tera naam kanda kertey hain
    Chalo aaj say hum chahat k zanda'n main muqeed huy
    Teri yaad k sehra main dard-E-maazi ki wa'eed huy
    Chalo ab kitaab-e-zeest se awraq-e-wafa palat'tay hain
    K ab hum "wafa" ko jafa likhaingay , saza likhaingay
    K ab hum apni bheegi january ki shuru'aat
    Teray bakhsay huy azaab-e-tanhai se kertaY hain
    Chalo ab teri muhabbat ki umar qaid muqaddar hoi
    (k hum ko wafa nibhanay ki saza to milni thi)
    Chalo ab hum apney haathon ki lakeero'n say
    Tera aks-e-jaa'n mita daingay
    Qalb-e-jaa'n main saji tasveer-E-muhabbat . . ..
    Shab ki tanhai main chupke say hata daingay
    Is per bhi sehar koi gham nahi hota
    K hum ko zamane main teri ruswai manzoor nahi
    Shayad isi liye yeh lehja gham nahi hota
    Mgr jab faseel-E-jaa'n say saans ukharti hay to
    Aise main hum Aseer-E-muhabbat
    Phir say ahd-E-wafa duhranay lagtay hain
    Itneay zakhm kha kar bhi
    nishtar jaan ko teri ankhon ka
    Surmai samandar yaad aata hay
    Aisay main hum dair tak mazar-E-muhabbat per
    Noha giri kertay hain , aahain bhartay hain
    Aise main yaad-E-maazi ki her yaad
    Nakhl-E-yada'n say mehev hojati hay
    aisay main bas december ki
    Siskiyan leti hoi sard tareek yaad ka
    alvidaii manzar yaad aata hay
    aisay main humain tu bhi nahi teri chahat bhi nahi
    Bass woh muabbat ka aakhri december yaad aata hay
    Haan bass woh aakhri december .........Yaad aata hay ..!

    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

    Comment


    • Re: Mohabbat ka Akhri December...!

      December Aa Ker Guzer JaYe Gaa...!

      December aa ker guzer jaye gaa
      Ik pair kay na jaaney kitnay pattey giraa jaaey gaa
      December aa ker guzar jaye gaa
      Chiriyaa'n chehkein gee yakh-basta raato'n may
      Aur pairo'n pey aa ker yeh gumsum rahein gee
      Na koi hari shaakh ho gee
      Na koi patta ho gaa
      December aa ker guzar jaye gaa
      Kitney parindey be-ghar ho jaain gey
      Jalaa dey gee unn ko december ki thandi hawa
      Na jaaney kitney khwaab bin taabeer dhal jaain gey
      December aa ker guzar jaye gaa
      Ik pair kay na jaaney kitney pattey giraa jaye gaa

      ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
      tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

      Comment


      • December ki ALwidai ShaaM...!


        December ki ALwidai ShaaM...!
        Yeh kesa Alwidai geet gaaya december ne
        jatey jatey nargissi mausam ko rulaya
        khain pe lalazar banya
        gulab motia chambeli se
        tulip ki larioon se goond ke
        pyar ke rangoon se sainch ke
        parioon si khawishoon ke jhoormat
        main
        hamrieen laboon pe
        duaaon ke alwidi kalmaat
        tum hamesh raho mere saat
        marmareen hatehlioon pe naii
        umeedoon ke roshan chiragh
        sadioon se chand ke devi
        kaat rahi hai charqha
        narm narm galoon se
        prem ki dhank se dhunak rahi hai
        hur ane wali subha ko
        Rub ne dia hai sub ko ye hi pegham
        ajj jati december ki sham
        insaanyat ke naam
        mohabbat azaadi shanti amaan hai
        sub ki jaan
        nafratoon ko kar do tammam
        choti se hasti hai ye
        pyar se basti hai
        hamesha se hai
        hamesha rahingain
        Main or Nelaa Asmman

        ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
        tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

        Comment


        • Re: December ki ALwidai ShaaM...!

          Bheega Bheega Sa Yeh December hai...!

          Bheega bheega sa yeh december hai
          Bheegi bheegi si.. tanhai hai
          In kitaabon main jee nahin lagta
          Hum ko sajni ki ya..ad aai hai
          Bheega bheega sa december hai

          Shaam ki kaali aankhain jab palkon ko chapkaati hain
          Kissi pair kay neechay kuch yaadain gungunaati hain
          Kuch pyar kay aadhay nagmay
          Aadhi pyar ki kahaani..
          Aik shehar ka raja..
          Aur ek gaon ki rani
          Donon baray premi thay
          Ban main aaya kartay thay
          Unkay pyar kay meethay nagmay
          Panchi gaaya kartay thay
          Ab na premi hain
          Na woh baatain hain
          Aur yaadain hi apni kamai hai..
          In kitaabon main jee nahin lagta
          Hum ko sajni ki ya..ad aaaai hai....

          Is kamray ki khirki baarish ka shor sunati hai
          Aur tumhari aahat hum ko yeh rog lagaati hai..
          Ab kay saal december main jab ban main mein jaoon ga
          Neeli jheel darakhton kay saayay aur sookhay pattay
          Saaray tera poochain gain
          Kahan hai tera poochain gain
          Tera premi yaar kahan hai
          Saaray tera poochain gain
          Kia bataoon ga
          Kia kahaani hai
          Ab to qismat main apni judai hai..
          In kitaabon main jee nahin lagta
          Hum ko sajni ki yaa..ad aai hai...

          Shaam dhallay jab panchi
          Apnay apnay ghar jaatay hain
          Koi mujhay batlayay
          Mujhko yeh kiyoon tarpaatay hain
          Mainay bhi ek sapna dekha tha apnay ghar ka..
          Kho na jaye mera panchi
          Lekin mujhko darr tha
          Mera yeh afsaana hai
          Saara yeh afsaana hai
          Mera panchi rasta bhoola
          Pagal hai anjaana hai
          Tu gaya hai to
          Mainay jaana hai
          Mera dil ab bhi tera deewana hai
          In kitaabon main jee nahin lagta
          Hum ko sajni ki ya..ad aai hai...

          Bheega bheega sa yeh december hai
          Bheegi bheegi si.. tanhai hai
          In kitaabon main jee nahin lagta
          Hum ko sajni ki ya..ad aai hai...

          ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
          tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

          Comment


          • Re: December ki ALwidai ShaaM...!

            December is my month Naz yeh meri salgirah aur almost chal chalao ka maheena baneney wala tha :D
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: Mohabbat ka Akhri December...!

              Yeh december per aap itni mehrbaan kaisey hain Naz itna sara kalaam :)
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment


              • Re: Barishon k Muasam Main...!

                bohat umdah naz kamal klam share kya hay aapne
                Allah

                Comment


                • Re: Barishon k Muasam Main...!

                  Naz ji aap ki taqreeban har sharing :masha bouhat umda hoti hay,yeh bhi pasand aai.:)
                  :roseENIGMA:rose

                  Comment


                  • Aik Dost Ke Naam...!

                    :rose :rose :rose :rose



                    :rose :rose :rose :rose

                    ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                    tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                    Comment


                    • Re: ~*~Meri Diary~*~ (update)

                      :rose :rose :rose :rose



                      :rose :rose :rose :rose

                      ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
                      tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

                      Comment


                      • Re: Aik Dost Ke Naam...!

                        buhat hee khobsurat Naz..............

                        Comment


                        • Re: Aik Dost Ke Naam...!

                          kamal ka kalam share kya hay aapne naz .........Happy New Year :)
                          Allah

                          Comment


                          • Re: Aik Dost Ke Naam...!

                            Bohat pyara message hai Naz - happy New Year :)
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • Re: Aik Dost Ke Naam...!

                              aslaam_u_alikam

                              bohat hi achii lagii aap ki yeh nazm.
                              shukriya

                              Comment


                              • Re: Aik Dost Ke Naam...!

                                awwww

                                bohat hi khoubsurat alfaz hain jano

                                thank you so much aur inshallah mai b yehi kosish karonga inshallah

                                i Love you

                                Comment

                                Working...
                                X